Meri Beti, meri sun
Raftar Khatarnak hai !
Masoom hansee
Dilkash si ada
Bholi si shakal,
Irade Napak hain !
Sheerin alfaz,
Hathon mein chhure,
Kandhe pe jaal,
Pase pusht kafas,
Tapakti laaren
Ankhon mein hawas !
Maine dekha hai
Khilti kaliyon ko
Ujadate baghon ko
Chahkati chiriyon ko,
Jhapatey baazon ko
Bikhartey sapnon ko,
Chhoot tey apnon ko,
Har kadam soch ke rakh,
Apna bhala bura parakh,
Zamana taras nahi khata
Mauka milne pe
Hai dass jata,
Zara ahista chalo !
Ahista chalo Meri Beti ! Ahista !!
Raftar khatarnak hai !
Main to kuchh der mein
Utth jaoonga
Phir kabhi laut
Naheen paoonga
Meri baatein zara
Ghaur se sun,
Zyada aale jaale tu na bun.
Gutargun pyar nahin hota,
Har baat ko taul, parakh
Sach jhooth mein
Hota hai farak,
Zamana taras nahin khata
Mauka milne par hai dass jaata !!
Ahista chalo, Meri Beti Ahista !
-------daman
24/06/2010
Raftar Khatarnak hai !
Masoom hansee
Dilkash si ada
Bholi si shakal,
Irade Napak hain !
Sheerin alfaz,
Hathon mein chhure,
Kandhe pe jaal,
Pase pusht kafas,
Tapakti laaren
Ankhon mein hawas !
Maine dekha hai
Khilti kaliyon ko
Ujadate baghon ko
Chahkati chiriyon ko,
Jhapatey baazon ko
Bikhartey sapnon ko,
Chhoot tey apnon ko,
Har kadam soch ke rakh,
Apna bhala bura parakh,
Zamana taras nahi khata
Mauka milne pe
Hai dass jata,
Zara ahista chalo !
Ahista chalo Meri Beti ! Ahista !!
Raftar khatarnak hai !
Main to kuchh der mein
Utth jaoonga
Phir kabhi laut
Naheen paoonga
Meri baatein zara
Ghaur se sun,
Zyada aale jaale tu na bun.
Gutargun pyar nahin hota,
Har baat ko taul, parakh
Sach jhooth mein
Hota hai farak,
Zamana taras nahin khata
Mauka milne par hai dass jaata !!
Ahista chalo, Meri Beti Ahista !
-------daman
24/06/2010
No comments:
Post a Comment