Teehama
Kuchh adhuri khwahishon, ka silsila hai zindagi,
manzilon se ik musalsal, fasala hai zindagi!
Mere darwaze pe dastak de ke, chhup jane ka khel
kab talak khelegi yeh kya bachpana hai zindagi!
Tere afsane to main sunta raha hun baraha,
naam kya tune kabhi, mera suna hai zindagi,
Zinda hoon doston ki duaaon ke bawajud,
roshan hai kitani tez hawaon si zindagi !
Apni tamam shokh. adaaon ke bawajud,
bahla saki na jee mera, ek pal bhi zindagi !
Bojhil hai raat chand sitaron ke bawajud,
suraj ke bawajud andhera hai zindagi !
Barbaad hamko hona tha, barbad ham huey,
duniya hai sari nek salahon si zindagi !
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
aur chup khadi hai, farzi gawahon si zindagi !!!!
II
Tu aina hai mujhko tera khyal rakhna hai.
kahin toot na jaye , tujhe sambhal rakhna hai !
Har ek masley ka teray, hul nikal rakhna hai
apni zahanat se tujhe, hairat mein daal rakhna hai
Gar tu kabhi jo, tark-e-talluq ki kare baat
rok kar tujhko, kal pe taal rakhna hai !
Teray dard ko chuna'na hai, palkon se miri
teray wastey khud ko nidhaal rakhna hai !
Nahin doobne dena tujhe, gham ke maujon mein
teray wajood ki nao, ko uchhal rakhna hai !
Bala'on ko teri, dua'on se rok lena hai
teray char soo, haathon ki dhal rakhna hai !
Suna'oon aisi dhun, tujhko na ho kabhi talab,
han'si mein meri, manfarid kamaal rakhna hai !
Na ho tujhe kabhi, meray ru'baru nadamat,
teray samne sada, asaan sawal rakhna hai !
Bichhar ke mujhse na jaye,tu jag ki thokar mein
apne pas rakh kay tujhko, lazawal rakhna hai !
Kho na jaye tu zindagi ki, raahon mein kahin,
tere wastey ujale, sambhal rakhna hai !
Raha muntazir tu uska, dhoop mein ahal-e-wafa,
jab laute tu toh, chhaon nikaal rakhna hai !
>o<>
1 comment:
bahut khoob..bahut ache se poetry postki daman ji mai apki tah dil se shukr guzar hoon...
Post a Comment