Welcome
You are welcome to my blog. feel free to write a comment,suggest and to review. No one is perfect in this world and I am no exception. Your comments shall help make me a better person and write better. Thank you !
Friday, July 9, 2010
DO KAVITAEN
Mera dharam hai insaniyat
Mera jahan aashiyana hai;
Mera astitv hai mera vishwas
Shanti se mera dostana hai;
Mil baith jo rehte gharon mein
Do ghadi hasna aur batiana hai;
Bakher jaate yaadon ke sunehre sapne
Aisi hastion ki sada talash rahi
Sab hain vyast is yug main
Kya le jayenge kya de jana hai;
Bejan sadiyaan yahin reh jayengi
jeeta pinjar mitti main mil jana hai;
Kadwe shabd bolne se pehle hans lo,
Yeh teer chhoota to kayi ghayal honge,
bad-dua ban kar kisi apne par laut aana hai!
II
Jab bhi koi baat danke ki chot kahte hain
Na jaane kyon zamane ko akhar jaati hai;
Jhoot kahain to mujrim karar diye jayein
Sach kehne pae bagawat ki boo aati hai;
fark kya hai gharibi aur amiri mein
Amiri roti hai,gharibi muskrati hai;
Maa mujhe roti do chand nahi,
Beti gharib ki budbudati hai;
'dhairyaa'so gayi footpath par thaki mehnat,
Neend ke liye Haveli chhatpatati hai!!!
compilation: Daman
courtesy Dhairyaa Taneja
(All rights of poems with the author.
All rights of the image which is only for illustration
rest with its owners.)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
No words :)
shukriya Harjot ji!
wonderful.. m speechless.
bhai ...sirf ..uffffffffff..no comments.
behtareen.Maa mujhe roti do chand nahi,
Beti gharib ki budbudati hai;
'dhairyaa'so gayi footpath par thaki mehnat,
Neend ke liye Haveli chhatpatati hai!!!
Post a Comment